Monday, April 13, 2026

Kya mai insaan hu original version 2

 



Mai inssan hu

Ya  Vaham palta hu insaniyat ka 

Khudgarji me janwar ban jata hu

 Fir bhi Mai kya insaan hu 

Bs baat hi karta hu aman chain ki

 Ropta asal me yudh ke beej hu 

Kya mai insan hu 

Apno ka hi sir kata h

 Apno ko hi jala ke mara hu

 Sajis bhi apno ke khilaf karta hu

 Fir bhi mai jhuthi hansi rakhta hu 

Har roz jalan ki aag me jalta hu 

  Apna zamir bechkar khud ko zinda rakhta hu Aise aise kaam jo janwar bhi na kare

 Unko karne se kahan darta hu

  Mai insaan hu 

kya wakai me insaan hu

Ret ke mahal aur 

Samsan ke andhere h 

Zinda ki shakl me murde tahal rahe hain 

Bheed me kayar bankar hatya kar balwan ban rahe h

Kya hum insan hai 

Ya iske hone ka vahan pal rahe h

Bs luta nocha aur hawas ki aag bhadka rahe h

Dikkawe kon zindagi aur 

Zindagi me dikhawa bana rahe 

Astin ke sapon ke bharose bharosa de rahe 

Har cheez me insaan hone ka haq gira rahe h

Kya mai insaan hu 

Isan hokar bhi maroge kutte ki maut chaurahe pe 

Fir bhi dhong dhokhe aur chaalbaazi ki misal hu 

Kya mai insaan hu 


Insaniyat jabtak dil me zinda h

Tak Tak insaan hu 

Warna Foonk diya jaunga ek din 

Fir bhi hawas ki aag me jalti ek laas hu 

No comments:

Post a Comment